ye mahal aur ye minar kahan rukti hai
ye mahal aur ye mīnār kahāñ ruktī hai
ġham kī barsāt meñ dīvār kahāñ ruktī hai
jang meñ hausla honā bhī zarūrī hai bahut
kāñpte haath meñ talvār kahāñ ruktī hai
muflisī sabr hī kartī hai faqat qismat par
ai amīrī tirī raftār kahāñ ruktī hai
ham ne dekhā hai azal hī se ye dastūr yahāñ
zulm Dhātī hai to sarkār kahāñ ruktī hai
jhuuT ko sach bhale kitnā hī banāo lekin
ghuñghruoñ kī kabhī jhankār kahāñ ruktī hai
ek samundar hī to rakhtā hai vafā kī azmat
varna dariyā meñ ye patvār kahāñ ruktī hai
mujh ko ma.alūm hai 'raunaq' maiñ ġhalat huuñ phir bhī
aa.ine se mirī takrār kahāñ ruktī hai
ye mahal aur ye minar kahan rukti hai
gham ki barsat mein diwar kahan rukti hai
jang mein hausla hona bhi zaruri hai bahut
kanpte hath mein talwar kahan rukti hai
muflisi sabr hi karti hai faqat qismat par
ai amiri teri raftar kahan rukti hai
hum ne dekha hai azal hi se ye dastur yahan
zulm Dhati hai to sarkar kahan rukti hai
jhuT ko sach bhale kitna hi banao lekin
ghunghruon ki kabhi jhankar kahan rukti hai
ek samundar hi to rakhta hai wafa ki azmat
warna dariya mein ye patwar kahan rukti hai
mujh ko malum hai 'raunaq' main ghalat hun phir bhi
aaine se meri takrar kahan rukti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.