ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
Bayan Meeruthi
MORE BYBayan Meeruthi
ye maiñ kahūñgā falak pe jā kar zamīñ se aayā huuñ tañg aa kar
jo ai masīhā tū hai masīhā to kuchh mire dard kī davā kar
tumhāre jalve ġhazab ke dekhe tumhāre chhīñTe balā ke paa.e
lagā lagā dī bujhā bujhā kar bujhā bujhā dī lagā lagā kar
zideñ mohabbat se aisī aa.iiñ ḳhayāl rakkhā na apne ghar kā
butoñ ne ka.abe ko muft Dhāyā kisī ke dil ko dukhā dukhā kar
vo shoḳh be-e'tibār kāfir rahā na tanhā gayā na tanhā
jo dard uTThā uThā uThā kar to dil ko baiThā biThā biThā kar
ye zor hirmān-o-yās kā hai asar kahāñ kā mirī fuġhāñ ko
paTak paTak ḳhaak par diyā hai falak se ūñchā uThā uThā kar
gudāz karte haiñ mere dil ko vo yuuñ biThāte haiñ apnā sikka
jalī kaTī ho rahī hai kyā kyā adū se mujh ko sunā sunā kar
sunī kisī ne sadā-e-tūtī na hālat-e-andalīb dekhī
jo kor thī is chaman meñ nargis to gul bhī ai ham-safīr thā kar
kahīñ na zulfoñ se khul paḌā ho mujhe hai andesha apne dil kā
ki purze purze uḌā rahā thā adū koī shai dikhā dikhā kar
vo but ki deñ us ko to na gar de to laakh tūfāñ uThā ke dhar de
zabān phir saaf qat.a kar de jo muñh se nikle ḳhudā ḳhudā kar
ilāhī hañgām-e-āmad-āmad ye kis qayāmat-ḳhirām kā hai
khisak chale sehn-e-bostāñ se tadrau-o-tā.ūs dum dabā kar
falak huā mehrbāñ phire din shab-e-visāl aa ga.ī to is ne
bahār-e-lutf-o-karam dikhā kar naqāb-e-sharm-o-hayā uThā kar
kabhī hañsāyā kabhī rulāyā kabhī rulāyā kabhī hañsāyā
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar dabā dabā kar
'bayāñ' hai vo bādshāh-e-asrā ki jis kī dargāh-e-ḳhusravī meñ
diyā zamīn-e-adab ko bosa falak ne gardan jhukā jhukā kar
ye main kahunga falak pe ja kar zamin se aaya hun tang aa kar
jo ai masiha tu hai masiha to kuchh mere dard ki dawa kar
tumhaare jalwe ghazab ke dekhe tumhaare chhinTe bala ke pae
laga laga di bujha bujha kar bujha bujha di laga laga kar
ziden mohabbat se aisi aain KHayal rakkha na apne ghar ka
buton ne kabe ko muft Dhaya kisi ke dil ko dukha dukha kar
wo shoKH be-e'tibar kafir raha na tanha gaya na tanha
jo dard uTTha uTha uTha kar to dil ko baiTha biTha biTha kar
ye zor hirman-o-yas ka hai asar kahan ka meri fughan ko
paTak paTak KHak par diya hai falak se uncha uTha uTha kar
gudaz karte hain mere dil ko wo yun biThate hain apna sikka
jali kaTi ho rahi hai kya kya adu se mujh ko suna suna kar
suni kisi ne sada-e-tuti na haalat-e-andalib dekhi
jo kor thi is chaman mein nargis to gul bhi ai ham-safir tha kar
kahin na zulfon se khul paDa ho mujhe hai andesha apne dil ka
ki purze purze uDa raha tha adu koi shai dikha dikha kar
wo but ki den us ko to na gar de to lakh tufan uTha ke dhar de
zaban phir saf qata kar de jo munh se nikle KHuda KHuda kar
ilahi hangam-e-amad-amad ye kis qayamat-KHiram ka hai
khisak chale sehn-e-bostan se tadrau-o-taus dum daba kar
falak hua mehrban phire din shab-e-visal aa gai to is ne
bahaar-e-lutf-o-karam dikha kar naqab-e-sharm-o-haya uTha kar
kabhi hansaya kabhi rulaya kabhi rulaya kabhi hansaya
jhijak jhijak kar simaT simaT kar lipaT lipaT kar daba daba kar
'bayan' hai wo baadshah-e-asra ki jis ki dargah-e-KHusrawi mein
diya zamin-e-adab ko bosa falak ne gardan jhuka jhuka kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.