ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun
ye maiñ nahīñ huuñ jo shāmoñ ko ghar meñ aatā huuñ
kahīñ se ḳhud sā koī roz DhūñDh laatā huuñ
khulā na jī pe jo dukh maiñ vahī bhulātā huuñ
zarā sī baat ko kitne baras lagātā huuñ
tumhārī aañkh kā gum-karda rabt banñe ko
ye roz ḳhud ko kahāñ se maiñ DhūñD laatā huuñ
maiñ apne zehn meñ tanhā rahā huuñ misl-e-ḳhayāl
maiñ apne jī ke hī dukh sau tarah manātā huuñ
bahut dinoñ se nahīñ mujh pe din Dhalā jaise
maiñ tere rāstoñ pe shaam banñe aatā huuñ
ye mauj mauj sī gahrā.ī ban ke chhū na mujhe
ki maiñ vasī.a kināroñ ke dukh uThātā huuñ
vo yaad hai mirī bātoñ kī tū ki ab bhī tujhe
maiñ dekh luuñ to bahut ḳhud ko yaad aatā huuñ
maiñ intishār hī meñ rah sakā mukammal 'talḳh'
vo silsila huuñ ki juḌne meñ TuuT jaatā huuñ
ye main nahin hun jo shamon ko ghar mein aata hun
kahin se KHud sa koi roz DhunDh lata hun
khula na ji pe jo dukh main wahi bhulata hun
zara si baat ko kitne baras lagata hun
tumhaari aankh ka gum-karda rabt banne ko
ye roz KHud ko kahan se main DhunD lata hun
main apne zehn mein tanha raha hun misl-e-KHayal
main apne ji ke hi dukh sau tarah manata hun
bahut dinon se nahin mujh pe din Dhala jaise
main tere raston pe sham banne aata hun
ye mauj mauj si gahrai ban ke chhu na mujhe
ki main wasia kinaron ke dukh uThata hun
wo yaad hai meri baaton ki tu ki ab bhi tujhe
main dekh lun to bahut KHud ko yaad aata hun
main intishaar hi mein rah saka mukammal 'talKH'
wo silsila hun ki juDne mein TuT jata hun
- Book : Waseela (Pg. 84)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.