ye maine mana ki pahra hai saKHt raaton ka
ye maiñ ne maanā ki pahra hai saḳht rātoñ kā
yahīñ se niklegā phir qāfila charāġhoñ kā
yuuñ ḳhushbuoñ meñ Dubo.e hue rakhūñ kab tak
gunāh kyuuñ na maiñ kar luuñ qubūl hāthoñ kā
charāġh-pā hai mirī niiñd in dinoñ mujh se
maiñ koī shahr basāne lagā thā ḳhvāboñ kā
hiran sī chaukḌī bharne lagegī har dhaḌkan
jo zikr chheḌ duuñ us kī ġhazāl āñkhoñ kā
ḳhumār o kaif-o-surūr-o-nashāt kā aalam
maiñ qarz-dār bahut huuñ tumhārī bāhoñ kā
ai din tū raushnī de kar ke is ke badle meñ
hisāb maañg na mujh se siyāh rātoñ kā
badan-sarā.e meñ Thahrā huā musāfir huuñ
chukā rahā huuñ kirāya maiñ chand sāñsoñ kā
ye main ne mana ki pahra hai saKHt raaton ka
yahin se niklega phir qafila charaghon ka
yun KHushbuon mein Duboe hue rakhun kab tak
gunah kyun na main kar lun qubul hathon ka
charagh-pa hai meri nind in dinon mujh se
main koi shahr basane laga tha KHwabon ka
hiran si chaukDi bharne lagegi har dhaDkan
jo zikr chheD dun us ki ghazal aankhon ka
KHumar o kaif-o-surur-o-nashat ka aalam
main qarz-dar bahut hun tumhaari bahon ka
ai din tu raushni de kar ke is ke badle mein
hisab mang na mujh se siyah raaton ka
badan-sarae mein Thahra hua musafir hun
chuka raha hun kiraya main chand sanson ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.