ye manzar be-dar-o-diwar hota
ye manzar be-dar-o-dīvār hotā
agar maiñ ḳhvāb se bedār hotā
bahut āsāñ thā us ko yaad rakhnā
par aglā marhala dushvār hotā
safar kuchh aur bhī mushkil se kaTtā
agar ye rāsta hamvār hotā
agar ye dā.era takmīl paatā
jahān-e-sābit-o-sayyār hotā
jo terī aarzū mujh ko na hotī
to koī dūsrā āzār hotā
ye manzar be-dar-o-diwar hota
agar main KHwab se bedar hota
bahut aasan tha us ko yaad rakhna
par agla marhala dushwar hota
safar kuchh aur bhi mushkil se kaTta
agar ye rasta hamwar hota
agar ye daera takmil pata
jahan-e-sabit-o-sayyar hota
jo teri aarzu mujh ko na hoti
to koi dusra aazar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.