ye maqtal hai yahan par sar na badlo
ye maqtal hai yahāñ par sar na badlo
tum āñkhoñ ke abhī ḳhanjar na badlo
safīna duub saktā hai kisī pal
ye tūfāñ hai yahāñ langar na badlo
isī andāz meñ bāteñ karo tum
zarā sī baat par tevar na badlo
havelī kar lo apne naam lekin
hamāre naam kā patthar na badlo
tumhī tum ho mire she'r-o-suḳhan meñ
magar tum she'r kā paikar na badlo
ye shab har pal badaltī jā rahī hai
sitāro tum to ye manzar na badlo
badal do qaid-ḳhāne kī salāḳheñ
magar zanjīr-e-'gauhar' tum na badlo
ye maqtal hai yahan par sar na badlo
tum aankhon ke abhi KHanjar na badlo
safina dub sakta hai kisi pal
ye tufan hai yahan langar na badlo
isi andaz mein baaten karo tum
zara si baat par tewar na badlo
haweli kar lo apne nam lekin
hamare nam ka patthar na badlo
tumhi tum ho mere she'r-o-suKHan mein
magar tum she'r ka paikar na badlo
ye shab har pal badalti ja rahi hai
sitaro tum to ye manzar na badlo
badal do qaid-KHane ki salaKHen
magar zanjir-e-'gauhar' tum na badlo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.