ye maraz ishq ka bana kyun hai
ye maraz ishq kā banā kyuuñ hai
dard hī dard kī davā kyuuñ hai
us kā milnā agar hai nā-mumkin
us se hī ishq phir huā kyuuñ hai
pal-do-pal hī use nihārā thā
umr-bhar kī mirī sazā kyuuñ hai
nazreñ sab par agar rakhe hai ḳhudā
sab kī nazroñ se vo chhupā kyuuñ hai
mere paas aag hī nahīñ hai jab
mere hāthoñ meñ ik diyā kyuuñ hai
vaqt rahte samajh nahīñ aatā
jo milā hai hameñ milā kyuuñ hai
ek had meñ tumheñ jo rahnā thā
mujh ko phir is tarah chhuā kyuuñ hai
vaqt denā to terā dil badlā
bas vo jazba mirā bachā kyuuñ hai
ye maraz ishq ka bana kyun hai
dard hi dard ki dawa kyun hai
us ka milna agar hai na-mumkin
us se hi ishq phir hua kyun hai
pal-do-pal hi use nihaara tha
umr-bhar ki meri saza kyun hai
nazren sab par agar rakhe hai KHuda
sab ki nazron se wo chhupa kyun hai
mere pas aag hi nahin hai jab
mere hathon mein ek diya kyun hai
waqt rahte samajh nahin aata
jo mila hai hamein mila kyun hai
ek had mein tumhein jo rahna tha
mujh ko phir is tarah chhua kyun hai
waqt dena to tera dil badla
bas wo jazba mera bacha kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.