Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae

Raees Warsi

ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae

Raees Warsi

MORE BYRaees Warsi

    ye marhale bhī mohabbat ke baab meñ aa.e

    bichhaḌ ga.e the jo ham se vo ḳhvāb meñ aa.e

    vo jis raah meñ ham ne bichhā.e ġhuncha-o-gul

    usī makān se patthar javāb meñ aa.e

    na jis ko dast-e-hinā.ī tere lams mile

    kahāñ se bū-e-vafā us gulāb meñ aa.e

    tumhāre husn-e-nazar se haiñ mo'atabar ham bhī

    jo ham kisī nigah-e-intiḳhāb meñ aa.e

    agarche misl hai āb-e-ravāñ ke reg-e-sarāb

    kahāñ se shorish-e-dariyā sarāb meñ aa.e

    tire ḳhayāl paikar sajā hai siine meñ

    ham is tarah tirī chashm-e-ḳhush-āb meñ aa.e

    havā ke dosh pe us ne likhā hai nām-e-'ra.īs'

    ye sun ke log bahut pech-o-tāb meñ aa.e

    ye marhale bhi mohabbat ke bab mein aae

    bichhaD gae the jo hum se wo KHwab mein aae

    wo jis ki rah mein hum ne bichhae ghuncha-o-gul

    usi makan se patthar jawab mein aae

    na jis ko dast-e-hinai ka tere lams mile

    kahan se bu-e-wafa us gulab mein aae

    tumhaare husn-e-nazar se hain mo'atabar hum bhi

    jo hum kisi nigah-e-intiKHab mein aae

    agarche misl hai aab-e-rawan ke reg-e-sarab

    kahan se shorish-e-dariya sarab mein aae

    tere KHayal ka paikar saja hai sine mein

    hum is tarah teri chashm-e-KHush-ab mein aae

    hawa ke dosh pe us ne likha hai nam-e-'rais'

    ye sun ke log bahut pech-o-tab mein aae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now