ye masala bhi hoga kabhi hal kisi tarah
ye mas.ala bhī hogā kabhī hal kisī tarah
yā'nī junūn-e-'ishq mukammal kisī tarah
shab kī siyāhiyoñ ko ujālā banā.ūñgā
mil jaa.e us kī aañkh kā kājal kisī tarah
kachhve ne āsmān ko sar par uThā liyā
ik-ādh baar aa gayā avval kisī tarah
shāḳh-e-'ulūm is pe ba-zid hai ba-sad-shu'ūr
zanjīr-e-pā banā.uñgī paa.el kisī tarah
sūkhe hue daraḳht kī āñkhoñ meñ darj thā
ho jaa.e sabz jism kā jangal kisī tarah
ye kaun log haiñ are ye kaun log haiñ
chup-chāp baiThte nahīñ pāgal kisī tarah
kab tak chalegā dūsre logoñ ke paañv par
ḳhud apne paañv par bhī kabhī chal kisī tarah
rakkhūñgā maiñ vo qīmtī zamzam sañbhāl kar
barsā jo us kī aañkh se bādal kisī tarah
vo shaḳhs kul-jahān pe chhā jā.egā 'sa'ūd'
chhuT jaa.e us ke haath se botal kisī tarah
ye masala bhi hoga kabhi hal kisi tarah
ya'ni junun-e-'ishq mukammal kisi tarah
shab ki siyahiyon ko ujala banaunga
mil jae us ki aankh ka kajal kisi tarah
kachhwe ne aasman ko sar par uTha liya
ik-adh bar aa gaya awwal kisi tarah
shaKH-e-'ulum is pe ba-zid hai ba-sad-shu'ur
zanjir-e-pa banaungi pael kisi tarah
sukhe hue daraKHt ki aankhon mein darj tha
ho jae sabz jism ka jangal kisi tarah
ye kaun log hain are ye kaun log hain
chup-chap baiThte nahin pagal kisi tarah
kab tak chalega dusre logon ke panw par
KHud apne panw par bhi kabhi chal kisi tarah
rakkhunga main wo qimti zamzam sanbhaal kar
barsa jo us ki aankh se baadal kisi tarah
wo shaKHs kul-jahan pe chha jaega 'sa'ud'
chhuT jae us ke hath se botal kisi tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.