ye masala hai aur koi masala nahin
ye mas.ala hai aur koī mas.ala nahīñ
apnā harīf maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ
kal mujh pe khul gayā tirā husn-e-munāfiqat
is sānehe ke ba.ad koī sāneha nahīñ
muflis nahīñ hai zehn-e-tahī-dast huuñ to kyā
dast-e-talab darāz kahīñ bhī kiyā nahīñ
har-gām-o-har-nafas rahe darpesh marhale
zauq-e-safar gavāh ki maiñ bhī rukā nahīñ
ai maslahat-pasand hamārā bhī tere saath
har-chand rābta hai magar rābta nahīñ
duniyā se chand roz meñ sab kuchh to mil gayā
milnā ab aur kyā hai jo ab tak milā nahīñ
mumkin nahīñ ki aa.eñ azā.em meñ laġhzisheñ
uftāda vaqt hī to hai uftād-pā nahīñ
chhoTā huuñ is liye mujhe ehsāñ haiñ sab ke yaad
mohsin ko bhuul jā.ūñ maiñ itnā baḌā nahīñ
ahvāl vāqa.ī to hai ḳhud hī zabān-e-jāñ
lekin sar-e-ġhurūr kahīñ bhī jhukā nahīñ
maiñ tujh ko yaad aa.uuñ aur aa.uuñ tamām-umr
ai dost maiñ burā huuñ par itnā burā nahīñ
jau bone vaale bo ke to jau chal diye magar
kahte haiñ ab ke fasl meñ gandum ugā nahīñ
ḳhvāb-e-baqā kī bas yahī ta.abīr hai ki 'lais'
duniyā meñ sirf ek fanā ko fanā nahīñ
ye masala hai aur koi masala nahin
apna harif main hun koi dusra nahin
kal mujh pe khul gaya tera husn-e-munafiqat
is sanehe ke baad koi saneha nahin
muflis nahin hai zehn-e-tahi-dast hun to kya
dast-e-talab daraaz kahin bhi kiya nahin
har-gam-o-har-nafas rahe darpesh marhale
zauq-e-safar gawah ki main bhi ruka nahin
ai maslahat-pasand hamara bhi tere sath
har-chand rabta hai magar rabta nahin
duniya se chand roz mein sab kuchh to mil gaya
milna ab aur kya hai jo ab tak mila nahin
mumkin nahin ki aaen azaem mein laghzishen
uftada waqt hi to hai uftad-pa nahin
chhoTa hun is liye mujhe ehsan hain sab ke yaad
mohsin ko bhul jaun main itna baDa nahin
ahwal waqai to hai KHud hi zaban-e-jaan
lekin sar-e-ghurur kahin bhi jhuka nahin
main tujh ko yaad aaun aur aaun tamam-umr
ai dost main bura hun par itna bura nahin
jau bone wale bo ke to jau chal diye magar
kahte hain ab ke fasl mein gandum uga nahin
KHwab-e-baqa ki bas yahi tabir hai ki 'lais'
duniya mein sirf ek fana ko fana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.