ye mast mast phul ye aamad bahaar ki
ye mast mast phuul ye aamad bahār kī
duniyā badal rahī hai dil-e-be-qarār kī
miT kar bhī chhuT sakī na zamīñ kū-e-yār kī
qismat to dekhiye mire musht-e-ġhubār kī
baḳhshish kī hai umiid gunahgār bhī liye
had dekhnī hai rahmat-e-parvardigār kī
aañsū ravāñ haiñ gesu-e-mushkīñ khule hue
tasvīr khiñch rahī hai shab-e-intizār kī
sayyād hāl-e-ġhuncha-o-gul tujh se kyā kahūñ
maiñ ne kabhī bhī shakl na dekhī bahār kī
kuchh haañ nahīñ zabān se irshād kījiye
kyoñ aas toḌ dī dil-e-ummīd-vār kī
afsāna ḳhatm ho chukā bīmār-e-hijr kā
ab sub.h ho chukī hai shab-e-intizār kī
aakar qafas meñ kuchh mirī duniyā badal ga.ī
dohrā rahā huuñ ab to kahānī bahār kī
allāh zindagī hai usī zindagī kā naam
jab ham qafas meñ haiñ to ḳhabar hai bahār kī
'raushan' har ek naqsh-e-qadam par jhukī jabīñ
ka.aba se kam nahīñ hai zamīñ kū-e-yār kī
ye mast mast phul ye aamad bahaar ki
duniya badal rahi hai dil-e-be-qarar ki
miT kar bhi chhuT saki na zamin ku-e-yar ki
qismat to dekhiye mere musht-e-ghubar ki
baKHshish ki hai umid gunahgar bhi liye
had dekhni hai rahmat-e-parwardigar ki
aansu rawan hain gesu-e-mushkin khule hue
taswir khinch rahi hai shab-e-intizar ki
sayyaad haal-e-ghuncha-o-gul tujh se kya kahun
main ne kabhi bhi shakl na dekhi bahaar ki
kuchh han nahin zaban se irshad kijiye
kyon aas toD di dil-e-ummid-war ki
afsana KHatm ho chuka bimar-e-hijr ka
ab subh ho chuki hai shab-e-intizar ki
aakar qafas mein kuchh meri duniya badal gai
dohra raha hun ab to kahani bahaar ki
allah zindagi hai usi zindagi ka nam
jab hum qafas mein hain to KHabar hai bahaar ki
'raushan' har ek naqsh-e-qadam par jhuki jabin
kaba se kam nahin hai zamin ku-e-yar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.