ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun
ye mat samajh ki chāñd-sitāroñ ke saath huuñ
sūraj nahīñ hai baa'd meñ jis ke vo raat huuñ
jo dostī kā farz nibhāne meñ kaT gayā
maiñ ḳhaak par paḌā vo mohabbat kā haat huuñ
ye tere mere biich nahīñ jang āḳhirī
tū bhī abhī hayāt hai maiñ bhī hayāt huuñ
ahbāb mujh ko chhoḌ rahe haiñ to chhoḌ jaa.eñ
maiñ aap apnī zaat meñ ik kā.enāt huuñ
ye log mujh ko zahr banāne pe haiñ musir
varna mizāj se to maiñ āb-e-hayāt huuñ
qatre se bhī huuñ kam ye samundar kā inkisār
qatre ko ye gumāñ ki samundar-sifāt huuñ
'kaifī' maiñ jaise apne buzurgoñ kā huuñ asā
bachchoñ kī bhī kitāb qalam huuñ davāt huuñ
ye mat samajh ki chand-sitaron ke sath hun
suraj nahin hai ba'd mein jis ke wo raat hun
jo dosti ka farz nibhane mein kaT gaya
main KHak par paDa wo mohabbat ka hat hun
ye tere mere bich nahin jang aaKHiri
tu bhi abhi hayat hai main bhi hayat hun
ahbab mujh ko chhoD rahe hain to chhoD jaen
main aap apni zat mein ek kaenat hun
ye log mujh ko zahr banane pe hain musir
warna mizaj se to main aab-e-hayat hun
qatre se bhi hun kam ye samundar ka inkisar
qatre ko ye guman ki samundar-sifat hun
'kaifi' main jaise apne buzurgon ka hun asa
bachchon ki bhi kitab qalam hun dawat hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.