ye mat samajhna koi bad-numa sa dagh hain hum
ye mat samajhnā koī bad-numā sā daaġh haiñ ham
kisī kī aañkh kā jaltā huā charāġh haiñ ham
milegā ham se hī tujh ko pata mohabbat kā
hameñ sañbhāl ke rakh āḳhirī surāġh haiñ ham
hamāre jalne jalāne se fā.eda kyā hai
ki apne taaq se bichhḌe hue charāġh haiñ ham
lapeT rakkhā hai ḳhud ko anā kī chādar meñ
sabab yahī hai ki andar se dāġh-dāġh haiñ ham
kisī ke pyaar ko ham maslahat samajh baiThe
yaqīn ho gayā 'nādir' ki be-dimāġh haiñ ham
ye mat samajhna koi bad-numa sa dagh hain hum
kisi ki aankh ka jalta hua charagh hain hum
milega hum se hi tujh ko pata mohabbat ka
hamein sanbhaal ke rakh aaKHiri suragh hain hum
hamare jalne jalane se faeda kya hai
ki apne taq se bichhDe hue charagh hain hum
lapeT rakkha hai KHud ko ana ki chadar mein
sabab yahi hai ki andar se dagh-dagh hain hum
kisi ke pyar ko hum maslahat samajh baiThe
yaqin ho gaya 'nadir' ki be-dimagh hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.