ye mat samjho ki mujhko gham nahin hai
ye mat samjho ki mujh ko ġham nahīñ hai
magar shikvoñ kā ye mausam nahīñ hai
hukūmat meñ baḌī tāqat hai lekin
mohabbat bhī kisī se kam nahīñ hai
agar hai husn terā misl-e-shola
to merā ishq bhī shabnam nahīñ hai
maiñ apne zaḳhm-e-dil kis ko dikhā.ūñ
kisī ke paas bhī marham nahīñ hai
mare haiñ un kī chaukhaT par hī 'jauhar'
hameñ marne kā koī ġham nahīñ hai
ye mat samjho ki mujh ko gham nahin hai
magar shikwon ka ye mausam nahin hai
hukumat mein baDi taqat hai lekin
mohabbat bhi kisi se kam nahin hai
agar hai husn tera misl-e-shola
to mera ishq bhi shabnam nahin hai
main apne zaKHm-e-dil kis ko dikhaun
kisi ke pas bhi marham nahin hai
mare hain un ki chaukhaT par hi 'jauhar'
hamein marne ka koi gham nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.