ye mausam faslon ka hai to be-shak fasla rakhna
ye mausam fāsloñ kā hai to be-shak fāsla rakhnā
magar dil meñ mohabbat ke darīchoñ ko khulā rakhnā
añdheroñ ke muqaddar meñ sahar se maat likkhī hai
ye shab bhar kī ḳhudā.ī hai charāġhoñ ko jalā rakhnā
qafas kī tīliyāñ parvāz-e-hur kab rok pā.eñgī
jigar meñ azm-e-kāmil to nigāhoñ meñ fazā rakhnā
ye maanā haq kā rasta daar se ho kar guzartā hai
magar sābit-qadam bante haiñ ġhāzī hausla rakhnā
qalam-rau thā jo shāhīñ kā vo ab kargas kī bastī hai
palaT saktī hai phir baazī azā.em ko jagā rakhnā
ye mausam faslon ka hai to be-shak fasla rakhna
magar dil mein mohabbat ke darichon ko khula rakhna
andheron ke muqaddar mein sahar se mat likkhi hai
ye shab bhar ki KHudai hai charaghon ko jala rakhna
qafas ki tiliyan parwaz-e-hur kab rok paengi
jigar mein azm-e-kaamil to nigahon mein faza rakhna
ye mana haq ka rasta dar se ho kar guzarta hai
magar sabit-qadam bante hain ghazi hausla rakhna
qalam-rau tha jo shahin ka wo ab kargas ki basti hai
palaT sakti hai phir bazi azaem ko jaga rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.