ye mera shahr sahra ho gaya hai
ye merā shahr sahrā ho gayā hai
nahīñ honā thā aisā ho gayā hai
ḳhushī meñ bhī kamī kuchh aa ga.ī hai
ġhamoñ meñ bhī izāfa ho gayā hai
maiñ itnā TuuT kar us se milā huuñ
mirā dushman bhī merā ho gayā hai
vo dariyā thā ravāñ rahtā thā pal pal
simaT kar ab kināra ho gayā hai
usī ke dam se zinda thī mohabbat
vahī ik shaḳhs kaisā ho gayā hai
udhar se ham bhī jaanā chāhte haiñ
udhar se bhī ishāra ho gayā hai
jise sadiyāñ lagī haiñ bante bante
vo sab kuchh pāra-pāra ho gayā hai
ye mera shahr sahra ho gaya hai
nahin hona tha aisa ho gaya hai
KHushi mein bhi kami kuchh aa gai hai
ghamon mein bhi izafa ho gaya hai
main itna TuT kar us se mila hun
mera dushman bhi mera ho gaya hai
wo dariya tha rawan rahta tha pal pal
simaT kar ab kinara ho gaya hai
usi ke dam se zinda thi mohabbat
wahi ek shaKHs kaisa ho gaya hai
udhar se hum bhi jaana chahte hain
udhar se bhi ishaara ho gaya hai
jise sadiyan lagi hain bante bante
wo sab kuchh para-para ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.