ye mere chaaron taraf kis liye ujala hai
ye mere chāroñ taraf kis liye ujālā hai
tirā ḳhayāl hai yā din nikalne vaalā hai
yaqīn maano maiñ kab kā bikhar gayā hotā
tumhārī yaad ne ab tak mujhe sambhālā hai
hujūm-e-jashn meñ kartā hai ġham-zadoñ ko talāsh
mujhe junūñ ne ajab imtihāñ meñ Daalā hai
kisī kā naam to ham le ke shab meñ sote haiñ
koī to hai jo sahar-dam jagāne vaalā hai
zamāna-sāz Dareñ gardish-e-zamāna se
hamārā kyā hai hameñ hādsoñ ne paalā hai
yahī bahut hai ki naqsh-e-qadam se bach jaa.eñ
suḳhan meñ rāsta kis ne nayā nikālā hai
ḳhudā kare ki use ilm bhī na ho 'mohsin'
vo jis ke gird mirī chāhatoñ kā haalā hai
ye mere chaaron taraf kis liye ujala hai
tera KHayal hai ya din nikalne wala hai
yaqin mano main kab ka bikhar gaya hota
tumhaari yaad ne ab tak mujhe sambhaala hai
hujum-e-jashn mein karta hai gham-zadon ko talash
mujhe junun ne ajab imtihan mein Dala hai
kisi ka nam to hum le ke shab mein sote hain
koi to hai jo sahar-dam jagane wala hai
zamana-saz Daren gardish-e-zamana se
hamara kya hai hamein hadson ne pala hai
yahi bahut hai ki naqsh-e-qadam se bach jaen
suKHan mein rasta kis ne naya nikala hai
KHuda kare ki use ilm bhi na ho 'mohsin'
wo jis ke gird meri chahaton ka haala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.