ye mere samne shisha laga diya kis ne
ye mere sāmne shīsha lagā diyā kis ne
ye mujh ko aaj mujhī se milā diyā kis ne
vo apne chehre kā DhūñDhe hai daaġh shīshe meñ
hai daaġh chāñd pe us ko batā diyā kis ne
vo jis ke ashkoñ se puurī zamīn giilī hai
havā se pūchho ghaTā ko rulā diyā kis ne
thā qaid dil kā parinda jo un kī āñkhoñ meñ
nazar ye un se milā kar uḌā diyā kis ne
maiñ ek khoTā huuñ sikka parakhne vaalo gar
mujhe bāzār meñ lā kar chalā diyā kis ne
marīz-e-ishq huuñ dīdār merī hasrat hai
vo pūchhte haiñ ke pāgal banā diyā kis ne
kisī kī royā na mayyat pe to kabhī 'āqib'
ye yaad aa.ī hai kis kī rulā diyā kis ne
ye mere samne shisha laga diya kis ne
ye mujh ko aaj mujhi se mila diya kis ne
wo apne chehre ka DhunDhe hai dagh shishe mein
hai dagh chand pe us ko bata diya kis ne
wo jis ke ashkon se puri zamin gili hai
hawa se puchho ghaTa ko rula diya kis ne
tha qaid dil ka parinda jo un ki aankhon mein
nazar ye un se mila kar uDa diya kis ne
main ek khoTa hun sikka parakhne walo gar
mujhe bazar mein la kar chala diya kis ne
mariz-e-ishq hun didar meri hasrat hai
wo puchhte hain ke pagal bana diya kis ne
kisi ki roya na mayyat pe to kabhi 'aqib'
ye yaad aai hai kis ki rula diya kis ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.