ye meri aahon mein aanch kaisi ye taw kaisa
ye merī aahoñ meñ aañch kaisī ye taav kaisā
dahak rahā hai ye mere andar alaav kaisā
ye aag kaisī dil-e-hazīñ meñ lagī huī hai
ye āñsuoñ kā hai jānib-e-dil bahāv kaisā
ye kaun ham ko falak se paiham bulā rahā hai
hai is jahāñ meñ ye roz kā chal-chalāv kaisā
mohabbatoñ meñ ravā nahīñ hai ye vaz.a-dārī
bane ho āshiq to ishq meñ rakh-rakhāv kaisā
jab ashk āñkhoñ kī had ke andar hī maujzan haiñ
to phir ye āñkhoñ ke sāhiloñ meñ kaTāv kaisā
koī to hai jo mujhe Thaharne ko kah gayā hai
safar meñ 'tāsīr' varna aisā paḌāv kaisā
ye meri aahon mein aanch kaisi ye taw kaisa
dahak raha hai ye mere andar alaw kaisa
ye aag kaisi dil-e-hazin mein lagi hui hai
ye aansuon ka hai jaanib-e-dil bahaw kaisa
ye kaun hum ko falak se paiham bula raha hai
hai is jahan mein ye roz ka chal-chalaw kaisa
mohabbaton mein rawa nahin hai ye waza-dari
bane ho aashiq to ishq mein rakh-rakhaw kaisa
jab ashk aankhon ki had ke andar hi maujzan hain
to phir ye aankhon ke sahilon mein kaTaw kaisa
koi to hai jo mujhe Thaharne ko kah gaya hai
safar mein 'tasir' warna aisa paDaw kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.