ye meri aankhon ki sozish ko dekh dard samajh
ye meri aankhon ki sozish ko dekh dard samajh
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
ye merī āñkhoñ kī sozish ko dekh dard samajh
safed bāloñ ko mere safar kī gard samajh
kuchh aise qā.ede haiñ ki badal nahīñ jin kā
tū niile āsmāñ ko ek lamha zard samajh
na pūchh ham pe guzartī hai hijr meñ kyā dost
kaleja aave hai muñh ko badan ko sard samajh
jise bulāte haiñ kam-kam hī saare ghar vaale
mujhe tū mere gharāne kā vo hī fard samajh
ab aisā mas.ala hai terā honā mere liye
ki jaise be-vaj.h hotā hai sar meñ dard samajh
ye meri aankhon ki sozish ko dekh dard samajh
safed baalon ko mere safar ki gard samajh
kuchh aise qaede hain ki badal nahin jin ka
tu nile aasman ko ek lamha zard samajh
na puchh hum pe guzarti hai hijr mein kya dost
kaleja aawe hai munh ko badan ko sard samajh
jise bulate hain kam-kam hi sare ghar wale
mujhe tu mere gharane ka wo hi fard samajh
ab aisa masala hai tera hona mere liye
ki jaise be-wajh hota hai sar mein dard samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.