ye meri duniya ye meri hasti
ye merī duniyā ye merī hastī
naġhma-tarāzī sahbā-parastī
shā.ir kī duniyā shā.ir kī hastī
yā nāla-e-ġham yā shor-e-mastī
sab se gurezāñ sab par barastī
āñkhoñ kī mastī mahñgī na sastī
yā ḳhuld o saaqī ai jazb-e-mastī
yā TukḌe TukḌe dāmān-e-hastī
mahv-e-safar huuñ garm-e-safar huuñ
merī nazar meñ rif.at na pastī
in añkhḌiyoñ kā aalam na pūchho
sahbā hī sahbā mastī hī mastī
vo aa bhī jaate vo ho bhī jaate
chashm-e-tamannā phir bhī tarastī
un kā karam hai un kī mohabbat
kyā mere naġhme kyā merī hastī
ye meri duniya ye meri hasti
naghma-taraazi sahba-parasti
shair ki duniya shair ki hasti
ya nala-e-gham ya shor-e-masti
sab se gurezan sab par barasti
aankhon ki masti mahngi na sasti
ya KHuld o saqi ai jazb-e-masti
ya TukDe TukDe daman-e-hasti
mahw-e-safar hun garm-e-safar hun
meri nazar mein rifat na pasti
in ankhDiyon ka aalam na puchho
sahba hi sahba masti hi masti
wo aa bhi jate wo ho bhi jate
chashm-e-tamanna phir bhi tarasti
un ka karam hai un ki mohabbat
kya mere naghme kya meri hasti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.