ye mila hai sila nadamat mein
ye milā hai sila nadāmat meñ
aa gayā maiñ bhī abr-e-rahmat meñ
bin paroñ ke havā meñ uḌtā hai
aisā kyā hai nasha siyāsat meñ
ham tire ġham ko apnā kahte haiñ
jaan de deñge is mohabbat meñ
faisle saare un ke haq meñ haiñ
phir bhī merā yaqīñ adālat meñ
us ko 'salmān' kaise samjhā.e
jis ne pā lī ḳhudī virāsat meñ
ye mila hai sila nadamat mein
aa gaya main bhi abr-e-rahmat mein
bin paron ke hawa mein uDta hai
aisa kya hai nasha siyasat mein
hum tere gham ko apna kahte hain
jaan de denge is mohabbat mein
faisle sare un ke haq mein hain
phir bhi mera yaqin adalat mein
us ko 'salman' kaise samjhae
jis ne pa li KHudi wirasat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.