ye mera bujhta sulagta sin ye mere raat-din
ye mirā bujhtā sulagtā sin ye mere rāt-din
kis tarah kaTte bhalā tujh bin ye mere rāt-din
biite sāvan kah rahe haiñ ye chhamā-chham the kabhī
ab to haiñ goyā faqat kin-min ye mere rāt-din
maiñ ne armānoñ kā pahlā raqs dekhā thā jahāñ
kaash ho jaate vahīñ sākin ye mere rāt-din
DhūñDh laate haiñ hamesha mere jurmoñ kā javāz
ye mire sab se baḌe mohsin ye mere rāt-din
tū samajhtā hai judā ḳhud ko agar mujh se to phir
saiñkaḌoñ se zarb de kar gin ye mere rāt-din
Dar rahā huuñ umr kī nā-pā.edārī se 'qatīl'
vaqt ke hāthoñ na jaa.eñ chhin ye mere rāt-din
ye mera bujhta sulagta sin ye mere raat-din
kis tarah kaTte bhala tujh bin ye mere raat-din
bite sawan kah rahe hain ye chhama-chham the kabhi
ab to hain goya faqat kin-min ye mere raat-din
main ne armanon ka pahla raqs dekha tha jahan
kash ho jate wahin sakin ye mere raat-din
DhunDh late hain hamesha mere jurmon ka jawaz
ye mere sab se baDe mohsin ye mere raat-din
tu samajhta hai juda KHud ko agar mujh se to phir
sainkaDon se zarb de kar gin ye mere raat-din
Dar raha hun umr ki na-paedari se 'qatil'
waqt ke hathon na jaen chhin ye mere raat-din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.