ye mera wijdan is se bahra-war pahle se hai
ye mirā vijdān is se bahra-var pahle se hai
jo batā.egā mujhe us kī ḳhabar pahle se hai
tum ne karnā kuchh nahīñ aanā hai rahnā hai yahāñ
varna qaa.em to yahāñ jaadū nagar pahle se hai
dil ko dillī kī tarah tū ne ujāḌā hai faqat
mat samajh lenā ki ye zer-o-zabar pahle se hai
chilchilātī dhuup meñ āvāz detā hai mujhe
ghar ke āñgan meñ khaḌā vo ik shajar pahle se hai
ye mere dil meñ 'farah' vīrāniyāñ pahle se haiñ
tere jaane se nahīñ suunā ye ghar pahle se hai
ye mera wijdan is se bahra-war pahle se hai
jo bataega mujhe us ki KHabar pahle se hai
tum ne karna kuchh nahin aana hai rahna hai yahan
warna qaem to yahan jadu nagar pahle se hai
dil ko dilli ki tarah tu ne ujaDa hai faqat
mat samajh lena ki ye zer-o-zabar pahle se hai
chilchilati dhup mein aawaz deta hai mujhe
ghar ke aangan mein khaDa wo ek shajar pahle se hai
ye mere dil mein 'farah' viraniyan pahle se hain
tere jaane se nahin suna ye ghar pahle se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.