ye mere jazb-e-mohabbat ki pazirai hai
ye mire jazb-e-mohabbat kī pazīrā.ī hai
vo bhī kahne lage dīvāna hai saudā.ī hai
har taraf tū hai tirī yaad hai aahaT terī
terī mahfil se to achchhī mirī tanhā.ī hai
is se behtar hai ki tajdīd-e-mohabbat kar le
bevafā ban ke bhī rahnā tirī rusvā.ī hai
shīsha-e-jism huā jaatā hai TukḌe TukḌe
ye qayāmat hai ki zālim tirī añgḌā.ī hai
aisā badlā hai zamāna ki ilāhī tauba
jo tamāshā thā vahī aaj tamāshā.ī hai
mutma.in huuñ maiñ 'umar' shīshe ke ghar meñ rah kar
pattharoñ se mirī sadiyoñ kī shanāsā.ī hai
ye mere jazb-e-mohabbat ki pazirai hai
wo bhi kahne lage diwana hai saudai hai
har taraf tu hai teri yaad hai aahaT teri
teri mahfil se to achchhi meri tanhai hai
is se behtar hai ki tajdid-e-mohabbat kar le
bewafa ban ke bhi rahna teri ruswai hai
shisha-e-jism hua jata hai TukDe TukDe
ye qayamat hai ki zalim teri angDai hai
aisa badla hai zamana ki ilahi tauba
jo tamasha tha wahi aaj tamashai hai
mutmain hun main 'umar' shishe ke ghar mein rah kar
pattharon se meri sadiyon ki shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.