ye moajiza bhi kisi roz kar hi jaana hai
ye mo.ajiza bhī kisī roz kar hī jaanā hai
tire ḳhayāl se ik din guzar hī jaanā hai
na jaane kis liye lamhoñ kā bojh Dhote haiñ
ye jānte haiñ ki ik din to mar hī jaanā hai
vo kah rahā thā nibhā.egā pyaar kī rasmeñ
maiñ jāntā thā ki us ne mukar hī jaanā hai
havā-e-shām kahāñ le chalī zamāne ko
zarā Thahar ki hameñ bhī udhar hī jaanā hai
maiñ ḳhvāb dekhtā huuñ aur sher kahtā huuñ
hunar-varoñ ne ise bhī hunar hī jaanā hai
ye moajiza bhi kisi roz kar hi jaana hai
tere KHayal se ek din guzar hi jaana hai
na jaane kis liye lamhon ka bojh Dhote hain
ye jaante hain ki ek din to mar hi jaana hai
wo kah raha tha nibhaega pyar ki rasmen
main jaanta tha ki us ne mukar hi jaana hai
hawa-e-sham kahan le chali zamane ko
zara Thahar ki hamein bhi udhar hi jaana hai
main KHwab dekhta hun aur sher kahta hun
hunar-waron ne ise bhi hunar hi jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.