ye moajiza bhi muqaddar mujhe dikhae kahin
ye mo.ajiza bhī muqaddar mujhe dikhā.e kahīñ
vo ab ke aa.e to jaane kī rah na paa.e kahīñ
chhupā chhupā ke rakhā maiñ ne jis ko ḳhud se bhī
vo terā zikr kitāboñ meñ ab na aa.e kahīñ
huī hai umr nibhāte hue tire ġham se
ye hausla bhī magar ab na maat khaa.e kahīñ
ajiib jashn-e-bahārāñ hai baaġh sab ujḌe
makān tab ye guloñ se ga.e sajā.e kahīñ
tamām fasl karūñ nazr abr kī 'āsim'
jo bārishoñ meñ mirā khet bhī nahā.e kahīñ
ye moajiza bhi muqaddar mujhe dikhae kahin
wo ab ke aae to jaane ki rah na pae kahin
chhupa chhupa ke rakha main ne jis ko KHud se bhi
wo tera zikr kitabon mein ab na aae kahin
hui hai umr nibhate hue tere gham se
ye hausla bhi magar ab na mat khae kahin
ajib jashn-e-bahaaran hai bagh sab ujDe
makan tab ye gulon se gae sajae kahin
tamam fasl karun nazr abr ki 'asim'
jo barishon mein mera khet bhi nahae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.