ye mohabbat agar zarurat hai
ye mohabbat agar zarūrat hai
ye zarūrat bhī to mohabbat hai
merā bhī dil nahīñ thā rukne kā
us ne bhī kah diyā ijāzat hai
shā.iroñ kī nazar se mat dekho
duniyā dar-asl ḳhūbsūrat hai
tum mujhe chhoḌ kar chale jaao
merī qurbat agar musībat hai
lauT aayā mirā akelā-pan
ab kisī kī kahāñ zarūrat hai
'aks' behad nasīb vaale ho
tum ko marne kī bhī suhūlat hai
ye mohabbat agar zarurat hai
ye zarurat bhi to mohabbat hai
mera bhi dil nahin tha rukne ka
us ne bhi kah diya ijazat hai
shairon ki nazar se mat dekho
duniya dar-asl KHubsurat hai
tum mujhe chhoD kar chale jao
meri qurbat agar musibat hai
lauT aaya mera akela-pan
ab kisi ki kahan zarurat hai
'aks' behad nasib wale ho
tum ko marne ki bhi suhulat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.