ye mohabbat bhi ek saza to hai
ye mohabbat bhī ik sazā to hai
dil-e-ma.asūm kī ḳhatā to hai
shukr hai ghar meñ ā.īna to hai
guftugū ke liye ḳhalā to hai
ishq ke āsmāñ pe jā pahuñchā
lag ga.ī hai use havā to hai
zaḳhm mil bhī ga.e to kyā ġham hai
terā honā bhī ik davā to hai
jab laboñ par hañsī numāyāñ ho
samjho pīchhe koī duā to hai
fāsle yuuñ nahīñ huā karte
darmiyāñ kuchh na kuchh huā to hai
ye mohabbat bhi ek saza to hai
dil-e-masum ki KHata to hai
shukr hai ghar mein aaina to hai
guftugu ke liye KHala to hai
ishq ke aasman pe ja pahuncha
lag gai hai use hawa to hai
zaKHm mil bhi gae to kya gham hai
tera hona bhi ek dawa to hai
jab labon par hansi numayan ho
samjho pichhe koi dua to hai
fasle yun nahin hua karte
darmiyan kuchh na kuchh hua to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.