ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya
ye mohabbat hai mohabbat sargirānī ho to kyā
shiddat-e-ġham se jigar kā ḳhuun paanī ho to kyā
ruuh ban kar merī rag rag meñ sarāyat kar gayā
aise dard-e-dil kī koī tarjumānī ho to kyā
sard ho saktā nahīñ sargarm insāñ kā lahū
hādisāt-e-nau-ba-nau meñ zindagānī ho to kyā
apnā jiinā ek dhokā apnā marnā ik fareb
zindagī se zindagī kī tarjumānī ho to kyā
har tarah ḳhush ḳhush rahī hai mujh se merī zindagī
mehrbānī ho to kyā nā-mehrbānī ho to kyā
ġham natīja hai ḳhushī kī intihā kā ai 'kalīm'
dil kī ik ik mauj mauj-e-shādmānī ho to kyā
ye mohabbat hai mohabbat sargirani ho to kya
shiddat-e-gham se jigar ka KHun pani ho to kya
ruh ban kar meri rag rag mein sarayat kar gaya
aise dard-e-dil ki koi tarjumani ho to kya
sard ho sakta nahin sargarm insan ka lahu
hadisat-e-nau-ba-nau mein zindagani ho to kya
apna jina ek dhoka apna marna ek fareb
zindagi se zindagi ki tarjumani ho to kya
har tarah KHush KHush rahi hai mujh se meri zindagi
mehrbani ho to kya na-mehrbani ho to kya
gham natija hai KHushi ki intiha ka ai 'kalim'
dil ki ek ek mauj mauj-e-shadmani ho to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.