ye mujh mein jo be-intiha tanhai hai
ye mujh meñ jo be-intihā tanhā.ī hai
is dasht kī āb-o-havā tanhā.ī hai
maiñ dard ke naġhme sunā.ūñgā tumheñ
tum jaan lenā mudda.ā tanhā.ī hai
mujh tak pahuñchne ko hai ik rāh-e-amal
aur jaan lo vo rāsta tanhā.ī hai
jo bhiiḌ meñ chehre kahīñ gum ho ga.e
un se mirā ab rābta tanhā.ī hai
maiñ us maqām-e-zāt tak laayā gayā
har ibtidā har intihā tanhā.ī hai
jis ko yahāñ par kāmyābī mil ga.ī
us kī sazā tanhā.ī yā tanhā.ī hai
ye mujh mein jo be-intiha tanhai hai
is dasht ki aab-o-hawa tanhai hai
main dard ke naghme sunaunga tumhein
tum jaan lena muddaa tanhai hai
mujh tak pahunchne ko hai ek rah-e-amal
aur jaan lo wo rasta tanhai hai
jo bhiD mein chehre kahin gum ho gae
un se mera ab rabta tanhai hai
main us maqam-e-zat tak laya gaya
har ibtida har intiha tanhai hai
jis ko yahan par kaamyabi mil gai
us ki saza tanhai ya tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.