ye mujhe kaisa guman hai kaun si tashkik hai
ye mujhe kaisā gumāñ hai kaun sī tashkīk hai
duur bhī ho jaa.e to lagtā hai tū nazdīk hai
maiñ to tere bolne par ḳhush huuñ ḳhud par faḳhr kar
tū mirī chup se dukhī hai ye mirī taz.hīk hai
sab ko dene vaale ab to haq-risānī kar mirī
varna tab tak jo milegā maiñ kahūñgā bhiik hai
dekh merī chashm-e-bad kā tīrgī se iḳhtilāt
dekh merī aañkh meñ har raushnī tārīk hai
umr kahne meñ lagā dī aur phir ham par khulā
sher kahnā ishq na.iiñ hai balki ik taknīk hai
aage aage jā.eñge to jald mar jā.eñge ham
zindagī kī dauḌ meñ pīchhe hī rahnā Thiik hai
ye mujhe kaisa guman hai kaun si tashkik hai
dur bhi ho jae to lagta hai tu nazdik hai
main to tere bolne par KHush hun KHud par faKHr kar
tu meri chup se dukhi hai ye meri tazhik hai
sab ko dene wale ab to haq-risani kar meri
warna tab tak jo milega main kahunga bhik hai
dekh meri chashm-e-bad ka tirgi se iKHtilat
dekh meri aankh mein har raushni tarik hai
umr kahne mein laga di aur phir hum par khula
sher kahna ishq nain hai balki ek taknik hai
aage aage jaenge to jald mar jaenge hum
zindagi ki dauD mein pichhe hi rahna Thik hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.