ye mukarrar aur ye irshad zindabaad
ye mukarrar aur ye irshād zindābād
sher ko samjhe binā dī daad zindābād
qais rāñjhā romiyo farhād zindābād
ishq meñ jo bhī huā barbād zindābād
dil ko mere kar rahī ābād zindābād
tū hai zinda baad terī yaad zindābād
ek tinke ne bachā lī Dūbte kī jaan
hai bahut chhoTī to kyā imdād zindābād
hai qafas is jism kā maanā bahut mazbūt
phir bhī taa.ir ruuh kā āzād zindābād
bhiiḌ kā hissa ho tum to bhiiḌ ke hī saath
zor se bolo hamāre baad zindābād
baḳhsh dī jaa.eñ hamāre qātiloñ kī jaan
āḳhirī maqtūl kī fariyād zindābād
dekhiye badle haiñ kaise baaġh ke hālāt
bulbuleñ bhī kahtī haiñ sayyād zindābād
yuuñ to bilkul rā.egāñ thī aap kī taqrīr
par isī taqrīr kī rūdād zindābād
ye mukarrar aur ye irshad zindabaad
sher ko samjhe bina di dad zindabaad
qais ranjha romiyo farhad zindabaad
ishq mein jo bhi hua barbaad zindabaad
dil ko mere kar rahi aabaad zindabaad
tu hai zinda baad teri yaad zindabaad
ek tinke ne bacha li Dubte ki jaan
hai bahut chhoTi to kya imdad zindabaad
hai qafas is jism ka mana bahut mazbut
phir bhi tair ruh ka aazad zindabaad
bhiD ka hissa ho tum to bhiD ke hi sath
zor se bolo hamare baad zindabaad
baKHsh di jaen hamare qatilon ki jaan
aaKHiri maqtul ki fariyaad zindabaad
dekhiye badle hain kaise bagh ke haalat
bulbulen bhi kahti hain sayyaad zindabaad
yun to bilkul raegan thi aap ki taqrir
par isi taqrir ki rudad zindabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.