ye muKHtasar si baat bahut muKHtasar nahin
ye muKHtasar si baat bahut muKHtasar nahin
Aftab Alam Shah Rahbar
MORE BYAftab Alam Shah Rahbar
ye muḳhtasar sī baat bahut muḳhtasar nahīñ
ham jis taraf chale haiñ koī rahguzar nahīñ
ham ne jise tarāsh ke mash.hūr kar diyā
vo ham se kah rahā ke ham meñ hunar nahīñ
sab is pe ḳhush bahut haiñ ke shāḳheñ jhukī to haiñ
haañ bojh par shajar ke kisī kī nazar nahīñ
vo āftāb le gayā jaate hue mirā
jaane ke baad us ke mirī to sahar nahīñ
ye muKHtasar si baat bahut muKHtasar nahin
hum jis taraf chale hain koi rahguzar nahin
hum ne jise tarash ke mashhur kar diya
wo hum se kah raha ke hum mein hunar nahin
sab is pe KHush bahut hain ke shaKHen jhuki to hain
han bojh par shajar ke kisi ki nazar nahin
wo aaftab le gaya jate hue mera
jaane ke baad us ke meri to sahar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.