ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen
ye mumkin hai ki mil jaa.eñ tirī khoī huī chīzeñ
qarīne se sajā kar rakhā zarā bikhrī huī chīzeñ
kabhī yuuñ bhī huā hai hañste hañste toḌ dī ham ne
hameñ ma.alūm thā juḌtī nahīñ TuuTī huī chīzeñ
zamāne ke liye jo haiñ baḌī nāyāb aur mahñgī
hamāre dil se sab kī sab haiñ vo utrī huī chīzeñ
dikhātī haiñ hameñ majbūriyāñ aise bhī dil aksar
uThānī paḌtī haiñ phir se hameñ pheñkī huī chīzeñ
kisī mahfil meñ jab insāniyat kā naam aayā hai
hameñ yaad aa ga.ī bāzār meñ biktī huī chīzeñ
ye mumkin hai ki mil jaen teri khoi hui chizen
qarine se saja kar rakha zara bikhri hui chizen
kabhi yun bhi hua hai hanste hanste toD di hum ne
hamein malum tha juDti nahin TuTi hui chizen
zamane ke liye jo hain baDi nayab aur mahngi
hamare dil se sab ki sab hain wo utri hui chizen
dikhati hain hamein majburiyan aise bhi dil aksar
uThani paDti hain phir se hamein phenki hui chizen
kisi mahfil mein jab insaniyat ka nam aaya hai
hamein yaad aa gai bazar mein bikti hui chizen
- Book : Kuchh Aur Tarah Se Bhi (Gazal) (Pg. 15)
- Author : Hastimal Hasti
- Publication : Vani Prakashan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.