ye musht-e-KHak mujhko ek jahan malum hoti hai
ye musht-e-KHak mujhko ek jahan malum hoti hai
Lutfullah Khan Nazmi
MORE BYLutfullah Khan Nazmi
ye musht-e-ḳhāk mujh ko ik jahāñ ma.alūm hotī hai
jo gard-e-kārvāñ hai kārvāñ ma.alūm hotī hai
mujhe chashm-e-sitam jab mehrbāñ ma.alūm hotī hai
to saarī duniyā apnī ham-ināñ ma.alūm hotī hai
agar samjhe to kuchh sayyād us kī aarzū samjhe
jise bijlī hī zeb-e-ashiyāñ ma.alūm hotī hai
bhar aaya dil tarāne bulbul-e-nāshād ke sun kar
kahānī ġham kī naġhmoñ meñ nihāñ ma.alūm hotī hai
kalī kā muskurānā dāman-e-gulchīñ ko dāvat hai
mirī har aarzū kyoñ gulsitāñ ma.alūm hotī hai
mohabbat kā fasāna kyā bas ik harf-e-tamannā hai
zarā sī baat hai aur dāstāñ ma.alūm hotī hai
mirā muñh dekhte haiñ dam-ba-ḳhud haiñ sāġhar-o-mīnā
tirī mahfil kī har shai rāzdāñ ma.alūm hotī hai
ye musht-e-KHak mujh ko ek jahan malum hoti hai
jo gard-e-karwan hai karwan malum hoti hai
mujhe chashm-e-sitam jab mehrban malum hoti hai
to sari duniya apni ham-inan malum hoti hai
agar samjhe to kuchh sayyaad us ki aarzu samjhe
jise bijli hi zeb-e-ashiyan malum hoti hai
bhar aaya dil tarane bulbul-e-nashad ke sun kar
kahani gham ki naghmon mein nihan malum hoti hai
kali ka muskurana daman-e-gulchin ko dawat hai
meri har aarzu kyon gulsitan malum hoti hai
mohabbat ka fasana kya bas ek harf-e-tamanna hai
zara si baat hai aur dastan malum hoti hai
mera munh dekhte hain dam-ba-KHud hain saghar-o-mina
teri mahfil ki har shai raazdan malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.