ye na ho wo bhulne wala bhula dena paDe
ye na ho vo bhūlne vaalā bhulā denā paḌe
aur phir ye raaz us ko bhī batā denā paḌe
ai dil-e-hañgāma-ḳhū takrār itnī bhī na kar
tañg aa kar tujh ko mahfil se uThā denā paḌe
Thaan rakkhī hai ki dil kī baat kahnī hai zarūr
us kī ḳhātir ḳhvāh mahshar hī uThā denā paḌe
aañkh vāloñ ke karam se aaj vo raat aa ga.ī
jab kisī andhe ke hāthoñ meñ diyā denā paḌe
dekhnā hai aag meñ kaisā nazar aatā hai shahr
ḳhvāh puurā shahr hī ham ko jalā denā paḌe
ye na ho wo bhulne wala bhula dena paDe
aur phir ye raaz us ko bhi bata dena paDe
ai dil-e-hangama-KHu takrar itni bhi na kar
tang aa kar tujh ko mahfil se uTha dena paDe
Than rakkhi hai ki dil ki baat kahni hai zarur
us ki KHatir KHwah mahshar hi uTha dena paDe
aankh walon ke karam se aaj wo raat aa gai
jab kisi andhe ke hathon mein diya dena paDe
dekhna hai aag mein kaisa nazar aata hai shahr
KHwah pura shahr hi hum ko jala dena paDe
- Book : makhzan(shazaad ahmad number-) (Pg. 162)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.