ye na puchho ki waqia kya hai
Interesting Fact
The ghazal was composed in Ghalib's zamin (meter and end-refrain) dil-e-naadaa.n tujhe hu.aa kyaa hai
ye na pūchho ki vāqi.a kyā hai
kis kī nazroñ kā zāviya kyā hai
sab haiñ masrūf kaun batlā.e
aadmī kā atā-patā kyā hai
chaltā jaatā hai kārvān-e-hayāt
ibtidā kyā hai intihā kyā hai
jo kitāboñ meñ hai vo sab kā hai
tū batā terā tajraba kyā hai
kaun ruḳhsat huā ḳhudā.ī se
har taraf ye ḳhudā ḳhudā kyā hai
ye na puchho ki waqia kya hai
kis ki nazron ka zawiya kya hai
sab hain masruf kaun batlae
aadmi ka ata-pata kya hai
chalta jata hai karwan-e-hayat
ibtida kya hai intiha kya hai
jo kitabon mein hai wo sab ka hai
tu bata tera tajraba kya hai
kaun ruKHsat hua KHudai se
har taraf ye KHuda KHuda kya hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 614)
- Author : Shahid Mahili
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.