ye na samjho ghubar hain hum log
ye na samjho ġhubār haiñ ham log
ḳhushbuoñ kī qatār haiñ ham log
log ham ko ḳhizāñ samajhte haiñ
jab ki taaza bahār haiñ ham log
ye sharāfat nahīñ to phir kyā hai
dushmanoñ par nisār haiñ ham log
vo bhī kāñToñ se kam nahīñ haiñ kuchh
jin kī nazroñ meñ ḳhaar haiñ ham log
thoḌā ham se bhī pyaar kar liije
qābil-e-e'tibār haiñ ham log
apnī hālat sañvar nahīñ saktī
buzdilī kā shikār haiñ ham log
aaj momin haiñ mā.il-e-pastī
is ke ḳhud zimmedār haiñ ham log
the kabhī tājdār ab 'ḳhurshīd'
dāman-e-tār-tār haiñ ham log
ye na samjho ghubar hain hum log
KHushbuon ki qatar hain hum log
log hum ko KHizan samajhte hain
jab ki taza bahaar hain hum log
ye sharafat nahin to phir kya hai
dushmanon par nisar hain hum log
wo bhi kanTon se kam nahin hain kuchh
jin ki nazron mein KHar hain hum log
thoDa hum se bhi pyar kar lije
qabil-e-e'tibar hain hum log
apni haalat sanwar nahin sakti
buzdili ka shikar hain hum log
aaj momin hain mail-e-pasti
is ke KHud zimmedar hain hum log
the kabhi tajdar ab 'KHurshid'
daman-e-tar-tar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.