ye na samjho ki charaghon se nikal jaenge
ye na samjho ki charāġhoñ se nikal jā.eñge
ham ujāle haiñ na.ī sub.h meñ Dhal jā.eñge
yuuñ na baiThā karo fōtpath pe mere yaaro
log guzreñge to pairoñ se kuchal jā.eñge
itnā barham na ho ik aks mukammal kar ke
ham tire ā.ina-ḳhāne se nikal jā.eñge
chāñd ho phuul hoñ yā khilte hue saa.e hoñ
tere dīvāne kisī tarah bahal jā.eñge
ai mirī chashm-e-hazīñ girya-e-paiham mat kar
itnā rone se to patthar bhī pighal jā.eñge
mujh se kyā pūchhte ho ashkoñ kī qīmat kyā hai
ye diye vo haiñ havāoñ meñ bhī jal jā.eñge
itne larzāñ bhī nahīñ shāḳh se TuuTe hue ham
girte girte bhī kahīñ jā ke sañbhal jā.eñge
ye hasīñ lamhe jinheñ thāme hue ho 'ehsān'
ik na ik din tire hāthoñ se phisal jā.eñge
ye na samjho ki charaghon se nikal jaenge
hum ujale hain nai subh mein Dhal jaenge
yun na baiTha karo footpath pe mere yaro
log guzrenge to pairon se kuchal jaenge
itna barham na ho ek aks mukammal kar ke
hum tere aaina-KHane se nikal jaenge
chand ho phul hon ya khilte hue sae hon
tere diwane kisi tarah bahal jaenge
ai meri chashm-e-hazin girya-e-paiham mat kar
itna rone se to patthar bhi pighal jaenge
mujh se kya puchhte ho ashkon ki qimat kya hai
ye diye wo hain hawaon mein bhi jal jaenge
itne larzan bhi nahin shaKH se TuTe hue hum
girte girte bhi kahin ja ke sanbhal jaenge
ye hasin lamhe jinhen thame hue ho 'ehsan'
ek na ek din tere hathon se phisal jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.