ye na samjho rah ki dushwariyan chup ho gain
ye na samjho raah kī dushvāriyāñ chup ho ga.iiñ
gir paḌe haiñ is liye baisākhiyāñ chup ho ga.iiñ
der tak sunte rahe chup-chāp ham ḳhāmoshiyāñ
aur jab bole to phir ḳhāmoshiyāñ chup ho ga.iiñ
yaad karne vaale ham ko yaad ban kar rah ga.e
ek muddat se hamārī hichkiyāñ chup ho ga.iiñ
likhte likhte ruk ga.e the vo sisak kar jis jagah
paḌhte paḌhte us jagah vo chiTThiyāñ chup ho ga.iiñ
vaqt ne mujh ko dikhā.e aise manzar bārhā
rafta rafta sab mirī hairāniyāñ chup ho ga.iiñ
ek pal ko yuuñ lagā thā mar ga.e haiñ 'arsh' ham
jab rihā.ī par hamārī beḌiyāñ chup ho ga.iiñ
ye na samjho rah ki dushwariyan chup ho gain
gir paDe hain is liye baisakhiyan chup ho gain
der tak sunte rahe chup-chap hum KHamoshiyan
aur jab bole to phir KHamoshiyan chup ho gain
yaad karne wale hum ko yaad ban kar rah gae
ek muddat se hamari hichkiyan chup ho gain
likhte likhte ruk gae the wo sisak kar jis jagah
paDhte paDhte us jagah wo chiTThiyan chup ho gain
waqt ne mujh ko dikhae aise manzar barha
rafta rafta sab meri hairaniyan chup ho gain
ek pal ko yun laga tha mar gae hain 'arsh' hum
jab rihai par hamari beDiyan chup ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.