ye na socha tha kabhi pyar mein aisa hoga
ye na sochā thā kabhī pyaar meñ aisā hogā
darmiyāñ bhiiḌ ke bhī koī akelā hogā
vo zamāne meñ koī shaḳhs nirālā hogā
jis ne majbūr ke kirdār ko parkhā hogā
ishq vo ḳhushk zamīñ hai ki jahāñ mīloñ tak
dhuup kā dasht kahīñ ret kā dariyā hogā
ek maidān tasavvur meñ mire hai ki jahāñ
koī dīvār na dīvār kā saaya hogā
kyā mere mulk meñ aisā bhī kabhī hai mumkin
koī mazdūr na lāchār na bhūkā hogā
parashn uThtā hai yahī ba.ad jalāne ke unheñ
kyā charāġhoñ meñ vo pahle sā ujālā hogā
jo bhī aatā hai yahāñ lauT ke jaanā hai use
sab ko dastūr ye duniyā kā nibhānā hogā
aise hālāt kā 'ānand' tasavvur mat kar
jab kisī par bhī kisī ko na bharosā hogā
ye na socha tha kabhi pyar mein aisa hoga
darmiyan bhiD ke bhi koi akela hoga
wo zamane mein koi shaKHs nirala hoga
jis ne majbur ke kirdar ko parkha hoga
ishq wo KHushk zamin hai ki jahan milon tak
dhup ka dasht kahin ret ka dariya hoga
ek maidan tasawwur mein mere hai ki jahan
koi diwar na diwar ka saya hoga
kya mere mulk mein aisa bhi kabhi hai mumkin
koi mazdur na lachaar na bhuka hoga
parashn uThta hai yahi baad jalane ke unhen
kya charaghon mein wo pahle sa ujala hoga
jo bhi aata hai yahan lauT ke jaana hai use
sab ko dastur ye duniya ka nibhana hoga
aise haalat ka 'anand' tasawwur mat kar
jab kisi par bhi kisi ko na bharosa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.