ye na socha tha kaDi dhup se rishta bhi to hai
ye na socha tha kaDi dhup se rishta bhi to hai
Rashid Anwar Rashid
MORE BYRashid Anwar Rashid
ye na sochā thā kaḌī dhuup se rishta bhī to hai
sirf dariyā hī nahīñ raah meñ sahrā bhī to hai
dāstāñ-go kī har ik baat tavajjoh se sunūñ
is hikāyat meñ mire yaar kā qissa bhī to hai
tujh ko chhūne ke liye haath baḌhā.ūñ to lage
phuul ke saath har ik shāḳh meñ kāñTā bhī to hai
ḳhud hī khīñche the hisār us ne magar ab kī baar
mujh se milne vo hadeñ toḌ ke aayā bhī to hai
kashmakash meñ huuñ karūñ tark-e-ta.alluq kaise
us sitamgar pe mire dil ko bharosa bhī to hai
bad-duā ab mire hoñToñ pe machaltī hī nahīñ
isī duniyā meñ mirī chhoTī sī duniyā bhī to hai
ye na socha tha kaDi dhup se rishta bhi to hai
sirf dariya hi nahin rah mein sahra bhi to hai
dastan-go ki har ek baat tawajjoh se sunun
is hikayat mein mere yar ka qissa bhi to hai
tujh ko chhune ke liye hath baDhaun to lage
phul ke sath har ek shaKH mein kanTa bhi to hai
KHud hi khinche the hisar us ne magar ab ki bar
mujh se milne wo haden toD ke aaya bhi to hai
kashmakash mein hun karun tark-e-talluq kaise
us sitamgar pe mere dil ko bharosa bhi to hai
bad-dua ab mere honTon pe machalti hi nahin
isi duniya mein meri chhoTi si duniya bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.