ye na socho kidhar gaya hun main
ye na socho kidhar gayā huuñ maiñ
yuuñ samajh lo ki mar gayā huuñ maiñ
dushmanī kā gila nahīñ hai mujhe
dostī se hī Dar gayā huuñ maiñ
mujh ko chheḌo na ab zarā sā bhī
ab to andar se bhar gayā huuñ maiñ
ek vo din bahār thī mujh pe
ek ye ki bikhar gayā huuñ maiñ
ye na socho kidhar gaya hun main
yun samajh lo ki mar gaya hun main
dushmani ka gila nahin hai mujhe
dosti se hi Dar gaya hun main
mujh ko chheDo na ab zara sa bhi
ab to andar se bhar gaya hun main
ek wo din bahaar thi mujh pe
ek ye ki bikhar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.