ye na-tamam fasana tamam ho to sahi
ye na-tamam fasana tamam ho to sahi
Jameel Ahmad Khan Jameel
MORE BYJameel Ahmad Khan Jameel
ye nā-tamām fasāna tamām ho to sahī
hamāre saath tumhārā bhī naam ho to sahī
mire liye bhī ḳhushī kā payām ho to sahī
añdhere ghar meñ ujāle kā naam ho to sahī
jahān-e-nau ke ye mahmūd bhī qadam chūmeñ
ayaaz jaisā kahīñ bhī ġhulām ho to sahī
mile jo ham se to patthar bhī mom ho jaa.e
koī bahāna barā.e-kalām ho to sahī
sukūn-e-dil ho mayassar hameñ kisī sūrat
hamārī aisī koī sub.h shaam ho to sahī
hamāre lab pe tumhārā hī naam kyā ma.anī
tumhāre lab pe hamārā bhī naam ho to sahī
bahut hī dard meñ Duube haiñ rahbarān-e-karam
kisī ke haath sahī apnā kaam ho to sahī
maiñ apnī sub.h bhī kar duuñ nisār us pe 'jamīl'
kisī kī zulf ke saa.e meñ shaam ho to sahī
ye na-tamam fasana tamam ho to sahi
hamare sath tumhaara bhi nam ho to sahi
mere liye bhi KHushi ka payam ho to sahi
andhere ghar mein ujale ka nam ho to sahi
jahan-e-nau ke ye mahmud bhi qadam chumen
ayaz jaisa kahin bhi ghulam ho to sahi
mile jo hum se to patthar bhi mom ho jae
koi bahana barae-kalam ho to sahi
sukun-e-dil ho mayassar hamein kisi surat
hamari aisi koi subh sham ho to sahi
hamare lab pe tumhaara hi nam kya mani
tumhaare lab pe hamara bhi nam ho to sahi
bahut hi dard mein Dube hain rahbaran-e-karam
kisi ke hath sahi apna kaam ho to sahi
main apni subh bhi kar dun nisar us pe 'jamil'
kisi ki zulf ke sae mein sham ho to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.