Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye nadi kyun is qadar KHadshe mein hai

Syed Sarosh Asif

ye nadi kyun is qadar KHadshe mein hai

Syed Sarosh Asif

MORE BYSyed Sarosh Asif

    ye nadī kyuuñ is qadar ḳhadshe meñ hai

    kyā koī tūfāñ kahīñ raste meñ hai

    jis parvāzoñ ke the charche bahut

    vo parinda aaj kal piñjre meñ hai

    band jab se ho ga.ī merī ghaḌī

    kitnā sannāTā mire kamre meñ hai

    tum ga.e the jo adhūrī chhoḌ kar

    vo kahānī aaj bhī vaqfe meñ hai

    hai sukūñ se bas vahī ek aadmī

    jo bure meñ hai na jo achchhe meñ hai

    ye nadi kyun is qadar KHadshe mein hai

    kya koi tufan kahin raste mein hai

    jis ki parwazon ke the charche bahut

    wo parinda aaj kal pinjre mein hai

    band jab se ho gai meri ghaDi

    kitna sannaTa mere kamre mein hai

    tum gae the jo adhuri chhoD kar

    wo kahani aaj bhi waqfe mein hai

    hai sukun se bas wahi ek aadmi

    jo bure mein hai na jo achchhe mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now