ye nadi warna to kab ki par thi
ye nadī varna to kab kī paar thī
mere raste meñ anā dīvār thī
aap ko kyā ilm hai is baat kā
zindagī mushkil nahīñ dushvār thī
thiiñ kamāneñ dushmanoñ ke haath meñ
aur mere haath meñ talvār thī
jal ga.e ik roz sūraj se charāġh
raushnī ko raushnī darkār thī
aaj duniyā ke laboñ par muhr hai
kal talak haañ sāhab-e-guftār thī
ye nadi warna to kab ki par thi
mere raste mein ana diwar thi
aap ko kya ilm hai is baat ka
zindagi mushkil nahin dushwar thi
thin kamanen dushmanon ke hath mein
aur mere hath mein talwar thi
jal gae ek roz suraj se charagh
raushni ko raushni darkar thi
aaj duniya ke labon par muhr hai
kal talak han sahab-e-guftar thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.