ye nafs hamara dushman hai ise rah pe lana mushkil hai
ye nafs hamara dushman hai ise rah pe lana mushkil hai
Ateeq Ahmad Jazib
MORE BYAteeq Ahmad Jazib
ye nafs hamārā dushman hai ise raah pe laanā mushkil hai
auroñ ko manānā āsāñ hai is dil ko manānā mushkil hai
aatā hai hameñ bhī ai vaa.iz terī hī tarah taqrīr kā fan
bātoñ kā banānā āsāñ hai kuchh kar ke dikhānā mushkil hai
do lafz zabāñ par aate haiñ rishte qaa.em ho jaate haiñ
rishtoñ kā banānā āsāñ hai rishtoñ kā nibhānā mushkil hai
maanā ki sabhī insān hī haiñ ehsās bhī hai jazbāt bhī haiñ
hāthoñ kā milānā āsāñ hai par saath nibhānā mushkil hai
isrāf ke jo haiñ shaidā.ī shaitān ke hote haiñ bhaa.ī
paisoñ kā luTānā āsāñ hai paisoñ kā kamānā mushkil hai
haq baat jise tum kahte ho haq hai ki yahī sachchā.ī hai
par ye bhī haqīqat hai yaaro mānegā zamāna mushkil hai
insān ke hāthoñ meñ jāzib ta.amīr bhī hai taḳhrīb bhī hai
sau sham.eñ bujhānā āsāñ hai ik sham.a jalānā mushkil hai
ye nafs hamara dushman hai ise rah pe lana mushkil hai
auron ko manana aasan hai is dil ko manana mushkil hai
aata hai hamein bhi ai waiz teri hi tarah taqrir ka fan
baaton ka banana aasan hai kuchh kar ke dikhana mushkil hai
do lafz zaban par aate hain rishte qaem ho jate hain
rishton ka banana aasan hai rishton ka nibhana mushkil hai
mana ki sabhi insan hi hain ehsas bhi hai jazbaat bhi hain
hathon ka milana aasan hai par sath nibhana mushkil hai
israf ke jo hain shaidai shaitan ke hote hain bhai
paison ka luTana aasan hai paison ka kamana mushkil hai
haq baat jise tum kahte ho haq hai ki yahi sachchai hai
par ye bhi haqiqat hai yaro manega zamana mushkil hai
insan ke hathon mein jazib tamir bhi hai taKHrib bhi hai
sau shamen bujhana aasan hai ek shama jalana mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.