ye nahin baDh ke han na ho jae
ye nahīñ baḌh ke haañ na ho jaa.e
jo nihāñ hai ayaañ na ho jaa.e
dūlhā bhaa.ī se ḳhaar khāte haiñ
yuuñ koī bad-gumāñ na ho jaa.e
āmad-e-tifl kam karo bhābī
baḌh ke ik kārvāñ na ho jaa.e
Dar lagā hai muuī paḌosan se
mere munne kī maañ na ho jaa.e
mere bistar pe tum na so bhābī
un ko merā gumāñ na ho jaa.e
hañs ke dekho na is tarah 'sajnī'
koī hasrat javāñ na ho jaa.e
ye nahin baDh ke han na ho jae
jo nihan hai ayan na ho jae
dulha bhai se KHar khate hain
yun koi bad-guman na ho jae
aamad-e-tifl kam karo bhabi
baDh ke ek karwan na ho jae
Dar laga hai mui paDosan se
mere munne ki man na ho jae
mere bistar pe tum na so bhabi
un ko mera guman na ho jae
hans ke dekho na is tarah 'sajni'
koi hasrat jawan na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.