ye nahin gham ki main paband-e-gham-e-dauran thi
ye nahīñ ġham ki maiñ pāband-e-ġham-e-daurāñ thī
rañj ye hai ki mirī zaat mirā zindāñ thī
sub.h se aa.ina chhūte hue Dar lagtā hai
raat hī ḳhvāb meñ dekhā thā ki maañg afshāñ thī
sūkhtī jaatī hai ab Dhaltī huī umr ke saath
baaḌh mehñdī kī jo darvāze pe apne haañ thī
sham.eñ aur saa.e se dekhe ga.e tūfān kī raat
us havelī meñ jo muddat se bahut vīrāñ thī
ḳhaak meñ khel ke sab nashv-o-numā paa.ī hai
bint-e-iflās huuñ maiñ bhuuk to merī maañ thī
paḌh rahā thā vo kisī aur ke āñchal pe namāz
maiñ bas ā.īna-o-qur.ān liye hairāñ thī
ye nahin gham ki main paband-e-gham-e-dauran thi
ranj ye hai ki meri zat mera zindan thi
subh se aaina chhute hue Dar lagta hai
raat hi KHwab mein dekha tha ki mang afshan thi
sukhti jati hai ab Dhalti hui umr ke sath
baDh mehndi ki jo darwaze pe apne han thi
shamen aur sae se dekhe gae tufan ki raat
us haweli mein jo muddat se bahut viran thi
KHak mein khel ke sab nashw-o-numa pai hai
bint-e-iflas hun main bhuk to meri man thi
paDh raha tha wo kisi aur ke aanchal pe namaz
main bas aaina-o-quran liye hairan thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.